'ālī' jis kā fann-e-suḳhan meñ ik andāz nirālā thā
naqd-e-suḳhan meñ zikr ye aayā dohe paḌhne vaalā thā
jaane kyuuñ logoñ kī nazreñ tujh tak pahuñcheñ ham ne to
barsoñ ba.ad ġhazal kī rau meñ ik mazmūn nikālā thā
kyā vo ghaTā tire ghar se uTThī kyā vo tū ne bhejī thī
būñdeñ raushan raushan thiiñ aur bādal kaalā kaalā thā
ajnabiyoñ se dhoke khānā phir bhī samajh meñ aatā hai
is ke liye kyā kahte ho vo shaḳhs to dekhā-bhālā thā
ham na mile aur jab bhī mile to donoñ ne iqrār kiyā
haañ vo va.ada aisā thā jo puurā hone vaalā thā
taptī dhūpoñ meñ bhī aa kar apnī yaad dilāte haiñ
chāñd-nagar ke 'inshā'-sāhib aale jin kā haalā thā