kuchh din guzre 'ālī'-sāhib ālī-jī kahlāte the
mahfil mahfil qarya qarya sher sunāte jaate the
qadr-e-suḳhan ham kyā jāneñ haañ rañg-e-suḳhan kuchh aisā thā
achchhe achchhe kahne vaale apne paas biThāte the
ġhazloñ meñ sau rañg milā kar apnā rañg ubhārā thā
ustādoñ ke saa.e meñ kuchh apnī raah banāte the
gītoñ meñ kuchh aur na ho ik kaifiyat sī rahtī thī
jab bhī misre raqsāñ hote ma.anī saaz bajāte the
dohe kahne aur paḌhne kā aisā tarz nikālā thā
sunñe vaale sar dhunte the aur pahroñ paḌhvāte the
sāmne baiThī sundar nāreñ aap talab ban jaatī thiiñ
pardoñ meñ se farmā.ish ke sau sau parche aate the
''ġhazleñ dohe gīt'' kī shohrat mulk se bāhar phailī thī
hindostāñ se aane vaale tohfoñ meñ le jaate the
ahl-e-hunar kī ḳhosha-chīnī un ko vaj.h-e-sa.ādat thī
be-hunaroñ meñ apnī anā kā parcham bhī lahrāte the
phir dekhā ki bachcha bachcha hañstā thā aur 'ālī'-jī
fardeñ likhte masleñ paḌhte baiThe gilD chalāte the