Jameeluddin Aali

koi bahaar ki KHatir koi KHizan ke liye

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
koī bahār kī ḳhātir koī ḳhizāñ ke liye
bas ek maiñ hī rahā sirf gulsitāñ ke liye
ilāhī mujh se nazar chhīn le ki ahl-e-nazar
tamām-umr taḌapte haiñ rāz-dāñ ke liye
masarrateñ jo milīñ tere lutf-e-paiham se
machal rahī haiñ kisī jaur-e-nā-gahāñ ke liye
mujhe haiñ ḳhaar se kuchh ḳhaas nisbateñ ki ye gul
bahār meñ na khilā raunaq-e-ḳhizāñ ke liye
hameñ un ahl-e-suḳhan meñ na kar shumār ki ye
fuġhāñ bhī karte haiñ ḳhush-vaqtī-e-fuġhāñ ke liye
kareñ na zikr tumhārā to kyā kareñ ki hameñ
kuchh aur mil na sakā apnī dāstāñ ke liye
hamāre des meñ iran-o-najd se ustād
bulā.e jaate haiñ ta.alīm-e-āshiqāñ ke liye
hamāre shahr meñ fan ke ijāra-dāroñ ne
kuchal rakhā hai diloñ ko faqat zabāñ ke liye
ham apne des aur apne hī shahr meñ 'ālī'
gadā-gadī pe haiñ majbūr soz-e-jāñ ke liye
Top Urdushayar.com