ba-īñ gudāz ajab rañg kā bayāñ hotā
koī raqīb jo apne bhī darmiyāñ hotā
jhukā huā hai jo sar aaj tere qadmoñ par
agar na vaqt bigaḌtā to āstāñ hotā
har ek rah pe ga.e aur ye bhūlte hī ga.e
vo ek naqsh-e-qadam thā kahāñ kahāñ hotā
tire nisār dil-e-ġhair-mutma.in pe na jā
use jo ishq bhī miltā to imtihāñ hotā
liyā na va.ada-e-dīdār jaan kar varna
phir intizār kā yaarā hameñ kahāñ hotā
koī to rañg-e-suḳhan de ki log kahte haiñ
lagī thī aag to kuchh aag kā nishāñ hotā
tirī nazar ke talātum meñ rah gayā varna
mirā bhī naam tajammul-husain-ḳhāñ hotā
akele tum hī to is shahr meñ nahīñ 'ālī'
burā hī thā jo vo tum sā hī nukta-dāñ hotā