purāne daañv par har din na.e aañsū lagātā hai
vo ab bhī ik phaTe rūmāl par ḳhushbū lagātā hai
use kah do ki ye ūñchā.iyāñ mushkil se miltī haiñ
vo sūraj ke safar meñ mom ke baazū lagātā hai
maiñ kaalī raat ke tezāb se sūraj banātā huuñ
mirī chādar meñ ye paivand ik jugnū lagātā hai
yahāñ lachhman kī rekhā hai na siitā hai magar phir bhī
bahut phere hamāre ghar ke ik sādhū lagātā hai
namāzeñ mustaqil pahchān ban jaatī hai chehroñ kī
tilak jis tarah māthe par koī hindū lagātā hai
na jaane ye anokhā farq is meñ kis tarah aayā
vo ab collar meñ phūloñ kī jagah bichchhū lagātā hai
añdhere aur ujāle meñ ye samjhauta zarūrī hai
nishāne ham lagāte haiñ Thikāne tū lagātā hai