Haneef akhgar

dekhna ye ishq mein husn-e-pazirai ke rang

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
dekhnā ye ishq meñ husn-e-pazīrā.ī ke rañg
anjuman-dar-anjuman hoñ merī tanhā.ī ke rañg
dil ke har goshe meñ jal uTThe haiñ zaḳhmoñ ke charāġh
allāh allāh ik masīhā kī masīhā.ī ke rañg
is adā se aa ga.e haiñ vo nazar ke rū-ba-rū
aur gahre ho ga.e haiñ is dil kī bīnā.ī ke rañg
ho sadāqat kā jo da.avā dekh le jī aa.ina
aa.ine hī meñ nazar aate haiñ sachchā.ī ke rañg
har dar-o-dīvār par likkhā huā hai merā naam
vaj.h-e-shohrat ban ga.e haiñ kitne rusvā.ī ke rañg
har nazar apnī jagah ḳhud ek jalva ban ga.ī
chhā ga.e aise tumhārī jalva-ārā.ī ke rañg
der tak 'aḳhgar' dar-e-jāñ par charāġhoñ kī tarah
raushnī dete rahe merī jabīñ-sā.ī ke rañg
Top Urdushayar.com