Haneef akhgar

dil ki mere bisat kya ek diya bujha hua

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
dil kī mire bisāt kyā ek diyā bujhā huā
tum ne ise bajā kahā ek diyā bujhā huā
sar pe musallat kī ga.iiñ saare jahāñ kī zulmateñ
aur mujhe de diyā gayā ek diyā bujhā huā
ham ne to gul kiye the ḳhud apnī ummīd ke charāġh
aap ne kyuuñ jalā diyā ek diyā bujhā huā
dil se na mere pūchhiye ālam-e-tark-e-ārzū
taaq meñ jis ke rah gayā ek diyā bujhā huā
ā.īna-e-vajūd meñ ḳhud ko jo dekhne gayā
merā hī aks ban gayā ek diyā bujhā huā
jab yake-ba.ad-dīgre saare charāġh bujh ga.e
aap hī aap jal uThā ek diyā bujhā huā
aap kī kyā misāl duuñ aap to be-misāl haiñ
aur mirī misāl kyā ek diyā bujhā huā
maiñ ne to us ko baḳhsh dī qalb-o-nazar kī raushnī
us ne ḳhayāl ko diyā ek diyā bujhā huā
ishq meñ ḳhaak ho ke bhī 'aḳhgar' ik aag sī rahī
mujh meñ ba-har-nafas jalā ek diyā bujhā huā
Top Urdushayar.com