Haneef akhgar

raaz-e-dil fash kiya karte ho kya karte ho

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
rāz-e-dil faash kiyā karte ho kyā karte ho
naam se mere hayā karte ho kyā karte ho
roz iqrār-e-vafā karte ho kyā karte ho
zaḳhm-e-dil phir se harā karte ho kyā karte ho
tum se mansūb hai ik ahd-e-vafā kā iqrār
tum bhī tauhīn-e-vafā karte ho kyā karte ho
shīsha-e-dil ke baratne kā salīqa sīkho
tum to bas toḌ diyā karte ho kyā ho
shauq ko pahle zarā had se sivā hone do
dard ko had se sivā karte ho kyā karte ho
ishva-e-jāñ-talabī morid-e-ilzām na ho
mujh se kahte raho kyā karte ho kyā karte ho
har ghaḌī us lab-e-shīrīñ kā tasavvur 'aḳhgar'
talḳh jiine kā maza karte ho kyā karte ho
Top Urdushayar.com