saaz meñ soz jab nahīñ aatā
lutf-e-bazm-e-tarab nahīñ aatā
ham ko apnī ḳhabar nahīñ hotī
vo to aane ko kab nahīñ aatā
aql meñ lafz-e-ishq kā mafhūm
kuchh to aatā hai sab nahīñ aatā
hosh aane kī baat itnī hai
jab vo aatā hai tab nahīñ aatā
us ko ulfat kī baat par ġhussa
pahle aatā thā ab nahīñ aatā
ho na ho bhar rahā hai zaḳhm-e-jigar
rañg ashkoñ meñ ab nahīñ aatā
dil lahū jab talak na ho 'aḳhgar'
rañg-e-husn-e-talab nahīñ aatā