vo mujhe soz-e-tamannā kī tapish samjhā gayā
mom kā paikar samajh kar dhuup meñ Thahrā gayā
us kī bazm-e-gul haiñ apne ḳhāna-e-vīrāñ kī samt
maiñ misāl-e-abr aayā sūrat-e-sahrā gayā
thā amīr-e-shahr gar apnī jagah bar-haq to phir
ā.īna jab sāmne aayā to kyuuñ ghabrā gayā
ab koī saffāk duniyā ke ġhamoñ kā ġham nahīñ
ham ko terā ġham samajhne kā salīqa aa gayā
kis se dekhā jā.egā us kā jamāl-e-nau-ba-nau
ek jalva hī nigāh-e-shauq ko pathrā gayā
bāzī-e-dil ham ne yuuñ khelī bisāt dahr par
shah pe shah paḌtī rahī har shah pe ik mohara gayā
chaḌhte sūraj ke pujārī kal ke sūraj ko na bhuul
vo bhī sūraj thā yuuñ hī niklā chaḌhā utrā gayā
ab na vo mushtāq nazreñ haiñ na vo betāb dil
be-mahābā aa.e sāñsoñ kā vo pahrā gayā
kuchh ajab thā terī bazm-e-nāz meñ 'aḳhgar' kā haal
aaj us ko der tak kuchh sochtā dekhā gayā