Haneef akhgar

yaadon ka shahr-e-dil mein charaghan nahin raha

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
yādoñ kā shahr-e-dil meñ charāġhāñ nahīñ rahā
kyā koī ġham hī sho.ala-ba-dāmāñ nahīñ rahā
ab e'tirāf-e-ahd-e-vafā kar rahe haiñ vo
jab e.atibār-e-umr-e-gurezāñ nahīñ rahā
nikle kuchh aur ābla-pā.ī kī ab sabīl
sahrā meñ koī ḳhār-e-muġhīlāñ nahīñ rahā
baḳhiya-garī-e-dil ke tasavvur meñ gum hue
goyā ḳhayāl-e-jumbish-e-mizhgāñ nahīñ rahā
ye soch kar ki ḳhūgar-e-ġham ho na jā.ūñ maiñ
vo sargirāñ huā sitam arzāñ nahīñ rahā
āzār-e-hijr apnī jagah mustaqil magar
dil mujh se tere qurb kā ḳhvāhāñ nahīñ rahā
yād-e-ḳhudā hī ka.aba-e-dil meñ basā.iye
ab ek but bhī dushman-e-īmāñ nahīñ rahā
imkān-e-vasl-e-yār to 'aḳhgar' kabhī na thā
āzār-e-hijr-e-yār kā armāñ nahīñ rahā
Top Urdushayar.com