Haneef akhgar

azm-e-safar se pahle bhi aur KHatm-e-safar se aage bhi

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
azm-e-safar se pahle bhī aur ḳhatm-e-safar se aage bhī
rāhguzar hī rāhguzar hai rāhguzar se aage bhī
tāb-e-nazar to shart hai lekin hadd-e-nazar kyuuñ haa.il hai
jalva-fagan to jalva-fagan hai hadd-e-nazar se aage bhī
sub.h-e-azal se shām-e-abad tak mere hī dam se raunaq hai
is manzar se us manzar tak us manzar se aage bhī
vahm-o-gumāñ se ilm-o-yaqīñ tak saikḌoñ nāzuk moḌ aa.e
rū-e-zamīñ se shams-o-qamar tak shams-o-qamar se aage bhī
dil se duā nikle to yaqīnan bāb-e-asar tak pahuñchegī
aah jo nikle dil se to pahuñche bāb-e-asar se aage bhī
dīda-e-tar kā ab to 'aḳhgar' ek hī aalam rahtā hai
nāla-e-shab se āh-e-sahar tak āh-e-sahar se aage bhī
Top Urdushayar.com