tum ḳhud hī mohabbat kī har ik baat bhulā do
phir ḳhud hī mujhe tark-e-mohabbat kī sazā do
himmat hai to phir saarā samundar hai tumhārā
sāhil pe pahuñch jaao to kashtī ko jalā do
iqrār-e-mohabbat hai na inkār-e-mohabbat
tum chāhte kyā ho hameñ itnā to batā do
khul jaa.e na āñkhoñ se kahīñ rāz-e-mohabbat
achchhā hai ki tum ḳhud mujhe mahfil se uThā do
sachchā.ī to ḳhud chehre pe ho jaatī hai tahrīr
da.ave jo kareñ log to ā.īna dikhā do
insān ko insān se taklīf hai 'aḳhgar'
insān ko tajdīd-e-mohabbat kī duā do