Haneef akhgar

shikasta dil kisi ka ho hum apna dil samajhte hain

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
shikasta dil kisī kā ho ham apnā dil samajhte haiñ
tire ġham meñ zamāne bhar ke ġham shāmil samajhte haiñ
huī haiñ is qadar āsāniyoñ se mushkileñ paidā
har āsānī ko ham apnī jagah mushkil samajhte haiñ
vo ḳhud dekhe magar us ko koī na dekhne paa.e
tirā andāz ham ai parda-e-hā.il samajhte haiñ
kisī kā haath zaḳhmoñ par kisī kā haath gardan meñ
masīhā kaun hai aur kaun hai qātil samajhte haiñ
had-e-dil se to bāhar dard terā ho nahīñ saktā
jahāñ tak dard hai terā vahāñ tak dil samajhte haiñ
majāl-e-dīd kī mohlat na deñ lekin ye kyā kam hai
vo ham ko apnī bazm-e-nāz ke qābil samajhte haiñ
ta.ayyun husn-e-maqsad kā nahīñ is ke sivā koī
Thahar jaa.eñ jahāñ ham bas use manzil samajhte haiñ
kahāñ tak ham musalsal ruḳh badalte jaa.eñ kashtī kā
vahī tūfāñ nikaltā hai jise sāhil samajhte haiñ
unheñ fursat kahāñ ye bhī ġhanīmat jāniye 'aḳhgar'
ki vo dil ko kisī ta.azīr ke qābil samajhte haiñ
Top Urdushayar.com