hāl-e-dil-e-bīmār samajh meñ chāragaroñ kī aa.e kam
bechainī ho jaa.e ziyāda dard agar ho jaa.e kam
ashk nigal jā.ūñ to yaqīnan shiddat-e-ġham ho jaa.e kam
dil kā jhulas jaanā lāzim hai aah jo lab par aa.e kam
mujh ko hai taslīm qafas meñ phūloñ ke haiñ saa.e kam
haa.e magar vo jin ko chaman kī āb-o-havā raas aa.e kam
rāh-e-talab meñ har manzil par ho tajdīd-e-azm-e-safar
rahrav ko ārām na aa.e aur jo aa.e aa.e kam
qāmat-e-fan kī baat alag meyār-e-hunar kī baat alag
shahr-e-suḳhan gunjān hai lekin haiñ mere ham-sā.e kam
apne aib se vāqif honā sab se baḌā hai kār-e-hunar
aadmī ḳhud ā.īna dekhe auroñ ko dikhlā.e kam
pūchhne vaalo haal na pūchho ishq meñ ab ye aalam hai
ḳhud par hañsnā aa.e ziyāda dil par ronā aa.e kam
āriz-e-rañgīñ kahne meñ tausīf to hai tashbīh nahīñ
phuul pe aa.e us kī shabāhat phuul kī us par aa.e kam
shahr-e-nafas se vādī-e-jāñ tak saikḌoñ nāzuk rishte haiñ
saañs na rukne paa.e 'aḳhgar' dard na hone paa.e kam