ishq jab manzil-e-āḳhir se guzartā hogā
ek bhī ashk na āñkhoñ se Tapaktā hogā
ham to jab jāneñ ki jab vaqt hamārā badle
log kahte haiñ badaltā hai badaltā hogā
hogā ai dost yaqīnan vo mire dil kī tarah
jo diyā ruḳh pe havāoñ ke bhī jaltā hogā
aaj Thahrāyā hai ḳhud jis ne mujhe qābil-e-dār
kal vahī merī vafāoñ ko tarastā hogā
sāġhar-e-chashm meñ mai-kash use bharte hoñge
rañg jab aap ke chehre se chhalaktā hogā
jo nazar uThtī hai ban jaatī hai ik mauj-e-ḳhumār
dast-e-sāqī meñ koī jaam chhalaktā hogā
haal 'aḳhgar' ke taḌapne kā sunā jab to kahā
us kī fitrat hī taḌapnā hai taḌaptā hogā