is tarah mah-ruḳhoñ ko pashemāñ kareñge ham
ab daaġh daaġh dil kā numāyāñ kareñge ham
ā.īna ban ke jā.eñge bazm-e-jamāl meñ
mahfil ke rū-ba-rū unheñ hairāñ kareñge ham
aa.e to vo bahār-e-dil-o-jāñ nigāh meñ
ik ik nafas ko rashk-e-gulistāñ kareñge ham
us but ko apne dil meñ basāne se peshtar
paimā.ish-e-harārat-e-īmāñ kareñge ham
mil jaa.e un kā naqsh-e-kaf-e-pā agar kahīñ
ik ik lakīr juzv-e-rag-e-jāñ kareñge ham
ehsān-e-vasl-e-yār bhī manzūr hai magar
āzār-e-hijr-e-yār ke armāñ kareñge ham
'aḳhgar' kisī kī yaad meñ lāzim hai ek jashn
ḳhūn-e-jigar se ḳhātir-e-mizgāñ kareñge ham