jalvoñ kā jo tere koī pyāsā nazar aayā
vo zaat meñ apnī hameñ dariyā nazar aayā
zad par jo nigāhoñ kī vo chehrā nazar aayā
kuchh rañg-e-hayā aur nikhartā nazar aayā
ye husn-e-taġhazzul kā karishma nazar aayā
vo jān-e-ġhazal sher sarāpā nazar aayā
ik silsila-e-lā-mutanāhī thā ġham-e-ishq
armān se armān nikaltā nazar aayā
rashk-e-mah-o-ḳhurshīd vo miTTī kā diyā thā
jo ruḳh pe havāoñ ke bhī jaltā nazar aayā
maiñ ne to kabhī aap ko tanhā nahīñ dekhā
maiñ aap ko mahfil meñ bhī tanhā nazar aayā
dil merā bhar aayā ba-ġham-e-tark-e-mohabbat
ḳhālī thā magar jaam chhalaktā nazar aayā
parde pe jamī rah ga.iiñ ḳhāmosh nigāheñ
yuuñ bhī pas-e-parda tirā chehrā nazar aayā
mujh par to jamī thiiñ tirī mahfil kī nigāheñ
maiñ vo thā ki mahfil meñ bhī tanhā nazar aayā
saaqī ne mujhe ḳhaas nigāhoñ se jo dekhā
sho.ala sā mire jaam se uThtā nazar aayā
ik dushman-e-īmāñ se ho ummīd-e-vafā kyā
kab dasht meñ dīvār kā saayā nazar aayā
ḳhush-rañg huā aur tirī yaad kā manzar
palkoñ pe agar koī sitārā nazar aayā
suulī pe chaḌhā koī koī tuur pe pahuñchā
'aḳhgar' tire kūche se guzartā nazar aayā