añdhere chāroñ taraf saa.eñ saa.eñ karne lage
charāġh haath uThā kar duā.eñ karne lage
taraqqī kar ga.e bīmāriyoñ ke saudāgar
ye sab marīz haiñ jo ab davā.eñ karne lage
lahū-luhān paḌā thā zamīñ par ik sūraj
parinde apne paroñ se havā.eñ karne lage
zamīñ par aa ga.e āñkhoñ se TuuT kar aañsū
burī ḳhabar hai farishte ḳhatā.eñ karne lage
jhulas rahe haiñ yahāñ chhāñv bāñTne vaale
vo dhuup hai ki shajar iltijā.eñ karne lage
ajiib rañg thā majlis kā ḳhuub mahfil thī
safed posh uThe kaa.eñ kaa.eñ karne lage