Haneef akhgar

apni nazron ko bhi diwar samajhta hoga

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
apnī nazroñ ko bhī dīvār samajhtā hogā
jo musāfir tire kūche se guzartā hogā
aaj Thahrā hai mirā harf-e-vafā qābil-e-dār
kal tū hī merī vafāoñ ko tarastā hogā
zabt kā had se guzarnā bhī hai ik sail-e-balā
dard kyā hogā agar had se guzartā hogā
us kī tārīf meñ jab koī kahī jaa.e ġhazal
kuchh na kuchh rañg qasīde kā jhalaktā hogā
kushta-e-zabt-e-fuġhāñ naġhma-e-be-sāz-o-sadā
uf vo aañsū jo lahū ban ke Tapaktā hogā
sher ban kar mire kāġhaz pe jo aayā hai lahū
ashk ban kar tire dāman se ulajhtā hogā
haiñ jo larzāñ mah-o-anjum kī shuā.eñ 'aḳhgar'
koī betāb falak par bhī taḌaptā hogā
Top Urdushayar.com