Baqar Mehdi

kya KHabar thi ki kabhi be-sar-o-saman honge

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
kyā ḳhabar thī ki kabhī be-sar-o-sāmāñ hoñge
fasl-e-gul aate hī is tarh se vīrāñ hoñge
dar-ba-dar phirte rahe ḳhaak uḌāte guzrī
vahshat-e-dil tire kyā aur bhī ehsāñ hoñge
raakh hone lagīñ jal jal ke tamannā.eñ magar
hasrateñ kahtī haiñ kuchh aur bhī armāñ hoñge
ye to āġhāz-e-masā.ib hai na ghabrā ai dil
ham abhī aur abhī aur pareshāñ hoñge
merī duniyā meñ tire husn kī rānā.ī hai
tere siine meñ mire ishq ke tūfāñ hoñge
kāfirī ishq kā sheva hai magar tere liye
is na.e daur meñ ham phir se musalmāñ hoñge
laakh dushvār ho milnā magar ai jān-e-jahāñ
tujh se milne ke isī daur meñ imkāñ hoñge
tū inhī sheroñ pe jhūmegī ba-andāz-e-digar
ham tirī bazm meñ ik roz ġhazal-ḳhvāñ hoñge
Top Urdushayar.com