aaj yuuñ dard tirā dil ke ufuq par chamkā
jaise do pul ke liye sub.h kā aḳhtar chamkā
yuuñ ziyā-bār rahī hijr kī shab yaad tirī
ġham kā sho.ala tire ruḳhsār se baḌh kar chamkā
ḳhāk-e-gulshan se na koī bhī sharārā phūTā
fasl-e-gul aa.ī na koī bhī gul-e-tar chamkā
ab nahīñ ahl-e-nazar ahl-e-basīrat koī
la.al samjhe haiñ use jab koī patthar chamkā
ik kiran chhoḌ gayā dīda-o-dil meñ 'hāfiz'
vo hasīñ ashk ki jo nok-e-mizha par chamkā