yārā-e-guftugū nahīñ āñkhoñ meñ dam nahīñ
ye ḳhāmushī bhī arz-e-tamannā se kam nahīñ
vīrān kis qadar hai guzar-gāh-e-ārzū
is rahguzar meñ koī bhī naqsh-e-qadam nahīñ
qaa.em rahī junūñ meñ bhī ik vaz-e-ehtiyāt
dil ḳhuun ho gayā hai magar aañkh nam nahīñ
dil hai jamāl-e-yār kī lazzat se faizyāb
is aa.ine meñ koī bhī tasvīr-e-ġham nahīñ
'hāfiz' ik iztirāb-e-musalsal hai zindagī
is manzil-e-vafā meñ kahīñ pech-o-ḳham nahīñ