hai vaj.h-e-sukūn-e-dil-e-āshufta-navā bhī
vo aañkh ki hai fitna-e-sad-hūsh-rubā bhī
hai kār-e-junūñ ahl-e-junūñ ke liye āsāñ
ye kaam kabhī ahl-e-farāsat se huā bhī
taskīn-e-dil-o-jāñ hai agar vo ruḳh-e-zebā
us qāmat-e-zebā meñ hai ik hashr chhupā bhī
jo sāmne aa.e to mirī samt na dekhe
detā hai shab-e-hijr vahī mujh ko sadā bhī
utre jo vo siine meñ to ilhām kī sūrat
Thahre to larazne lage shabnam kī ridā bhī
uTThe to qayāmat bhī qadam chuum ke guzre
al-qissa vo andāz hai aafat bhī balā bhī
'hāfiz' mire siine meñ farozāñ hai abhī tak
vo dard sikhātā hai jo jiine kī adā bhī