sho.ala-e-dard ba-unvān-e-tajallā hī sahī
lutf-e-dīvāngī-o-zauq-e-tamāshā hī sahī
dil nahīñ lazzat-e-dīdār se sarshār agar
vahshat-e-jāñ hī sahī hasrat-e-jalva hī sahī
ye bhī kyā kam hai ki ummīd-e-karam meñ guzre
rasm-o-ā.īn-e-vafā dahr meñ anqā hī sahī
kuchh to hai jis se hai qindīl-e-ġhazal tābinda
fikr-e-imroz-o-pareshānī-e-fardā hī sahī
hijr meñ khulte haiñ asrār-e-mohabbat kyā kyā
ġham meñ ye mo.ajiza-e-husn-e-masīhā hī sahī
un ke dāman pe koī daaġh na aane paa.e
maiñ har ik rañg har ik haal meñ rusvā hī sahī
phir bhī hai vaj.h-e-qarār-e-dil-e-muztar 'hāfiz'
vo adū diin kā dushman mirī jaañ kā hī sahī