vo qarya-e-mahtāb rahe sub.h-o-masā yaad
kuchh bhī na rahe shahr-e-tamannā ke sivā yaad
anvār kī bārish thī sar-e-manzil-e-taiba
har manzil-e-ḳhush dekh ke aatā thā ḳhudā yaad
ab tak haiñ nigāhoñ meñ dar-o-bām haram ke
ab tak hai mujhe vādī-e-rahmat kī fazā yaad
hai sīrat-e-at.har mirā sarmāya-e-hastī
mahbūb-e-do-ālam kī hai ek ek adā yaad
Duube na kabhī mere muqaddar kā sitārā
ik baar jo kar leñ mujhe mahbūb-e-ḳhudā yaad
qurbān huī jaatī thiiñ rahmat kī ghaTā.eñ
in kāñpte hoñToñ kā hai andāz-e-duā yaad
har ek ke dāman meñ murādoñ ke guhar the
'hāfiz' mujhe darbār kī hai shān-e-saḳhā yaad