Ishaq Athar Siddiqui

apne jauhar se siwa bhi koi qimat mange

Ishaq Athar Siddiqui

apne jauhar se sivā bhī koī qīmat māñge
dil vo ā.īna nahīñ hai ki jo sūrat māñge
maiñ ne dariyāoñ meñ bhī dasht kā manzar dekhā
jab ki pyāsā koī paanī kī ijāzat māñge
us kī raftār kī tasvīr banā.ī na ga.ī
kis qayāmat ko ye hañgām qayāmat māñge
naaz kī qāmat-e-zebā kī bayāñ kyā kiije
pairahan bhī jahāñ uslūb-e-nazākat māñge
jitnā hotā hai kam āsār-e-ḳhushī kā lamha
dil mirā dard se utnī bhī na mohlat māñge
har taraf shor hai āvāzoñ kā tasvīroñ kā
kaun ghabrā ke na ab gosha-e-uzlat māñge
ḳhvāb utre haiñ mire zehn pe jaise ilhām
kaun in ḳhvāboñ se ta.abīr kī qīmat māñge
kaun maslūb huā kis pe lagā hai ilzām
kashmakash aisī hai insāf adālat māñge
Top Urdushayar.com