Ishaq Athar Siddiqui

ai soz-e-darun rang-e-wafa aur hi kuchh hai

Ishaq Athar Siddiqui

ai soz-e-darūñ rañg-e-vafā aur hī kuchh hai
ab dil ke dhaḌakne kī sadā aur hī kuchh hai
kūche meñ tire shor-e-fuġhāñ kam nahīñ lekin
darvesh-e-duā-go kī sadā aur hī kuchh hai
dilkash hai bahut pairahan-e-lāla-o-gul bhī
lekin tirā andāz-e-qabā aur hī kuchh hai
jaise kisī mausam kā guzar hī na rahā ho
kuchh din se zamāne kī havā aur hī kuchh hai
daur-e-tarab-añgez-chaman ḳhuub hai lekin
be-halqa-e-gul raqs-e-sabā aur hī kuchh hai
nazrāna-e-jāñ bhī nahīñ haq-dār-e-tavajjoh
shāyad tirā dastūr-e-vafā aur hī kuchh hai
lahje to bahut shoḳh haiñ rañgīñ-suḳhanoñ ke
'at.har' tirā uslūb-e-navā aur hī kuchh hai
Top Urdushayar.com