ham musāfir haiñ ki maqsūd-e-safar jānte haiñ
kaise bantī hai koī rāhguzar jānte haiñ
be-gharī zād-e-safar ho to Thaharnā kaisā
itne ādāb to ye ḳhāk-ba-sar jānte haiñ
rāh-e-sunnat bhī yahī jāda-e-hijrat bhī yahī
paañv ruk jaa.eñ jahāñ bhī use ghar jānte haiñ
kyā ḳhabar Duub ke ubhrīñ ki ubhar kar Dūbeñ
ziist ko ham to samundar kā safar jānte haiñ
kitnī is daur meñ āzādī hai majbūroñ ko
ḳhauf kī aag meñ jalte hue par jānte haiñ
ḳhushk hoñToñ pe likhī hai ye kahānī kis ne
kah nahīñ sakte magar dīda-e-tar jānte haiñ
koī mahram hai ki mahrūm hameñ kyā mālūm
un se pūchho jo maqāmāt-e-nazar jānte haiñ
ham ko aate nahīñ andāz-e-hunar-mandī-e-fan
ye alag baat ki tauqīr-e-hunar jānte haiñ
ghar se bāhar jo nikalte hī nahīñ haiñ 'at.har'
kitnī āsān tirī rāhguzar jānte haiñ