ab bhī guzre hue logoñ kā asar boltā hai
raah ḳhāmosh hai imkān-e-safar boltā hai
shāḳh se TuuT ke rishte nahīñ TuuTā karte
ḳhushk pattoñ kī zabāñ meñ bhī shajar boltā hai
ye to duniyā hai tasalsul kā amal jaarī hai
bolne vaale chale jaa.eñ to ghar boltā hai
DhūñDne jaa.eñ to miltā hī nahīñ us kā pata
aur rasta hai ki tā-hadd-e-nazar boltā hai
un ke chehroñ pe hai tahrīr kahāñ ke haiñ ye log
un ko jaanā hai kidhar raḳht-e-safar boltā hai
aane vaale kisī lamhe kī ḳhabar ho shāyad
sar jhukā.e hue ik ḳhaak ba-sar boltā hai
dard kī koī alag se nahīñ hotī hai zabāñ
merī āvāz meñ ab saarā nagar boltā hai
ghar meñ baiThe hue kyā soch rahe ho 'at.har'
band darvāzoñ meñ ḳhud apnā hī Dar boltā hai