Ishaq Athar Siddiqui

safar mein hain to hamein yaad baam-o-dar ki hai

Ishaq Athar Siddiqui

safar meñ haiñ to hameñ yaad bām-o-dar kī hai
Thahar ga.e haiñ to phir aarzū safar kī hai
sukūñ se baiThne vaalo ye tum ne sochā bhī
yahāñ ye chhāñv hai lekin ye kis shajar kī hai
mire liye mirī hijrat hī ajr kyā kam hai
maiñ chal rahā huuñ ki har raah mere ghar kī hai
hameñ bhī hai to ḳhabar dhuup chhāñv kī 'at.har'
ki ham ne bhī to koī zindagī basar kī hai
Top Urdushayar.com