āshnā nā-āshnā yāroñ ke beach
munqasim huuñ kitnī dīvāroñ ke beach
saañs bhī lete nahīñ kyā rāste
kyā havā bhī chup hai dīvāroñ ke beach
ek bhī pahchān meñ aatī nahīñ
sūrateñ kitnī haiñ bāzāroñ ke beach
dekhnā hai kis ko hotī hai shikast
aa.ina hai ek talvāroñ ke beach
kaisī dhartī hai ki phaTtī bhī nahīñ
raqs majbūrī hai muḳhtāroñ ke beach
apnā apnā kāsa-e-ġham laa.e haiñ
hai numā.ish sī azādāroñ ke beach
hai unhī se raunaq-e-bazm-e-hayāt
phuul khilte haiñ jo añgāroñ ke beach
kyā shuā-e-mehr aatī hai kabhī
āsmāñ bar-dosh dīvāroñ ke beach
ham bhī 'at.har' 'mīr' sāhab ke tufail
sher kahte haiñ tarah-dāroñ ke beach