jo mujh pe qarz hai is ko utaar jā.ūñ maiñ
ye aur baat hai jiito ki haar jā.ūñ maiñ
kabhī maiñ ḳhvāb meñ dekhūñ harī bharī fasleñ
kabhī ḳhayāl ke dariyā ke paar jā.ūñ maiñ
ik aur ma.arka-e-jabr-o-iḳhtiryār sahī
ik aur lamha-e-tāza guzār jā.ūñ maiñ
bikhar ga.e haiñ jo lamhe sameT luuñ un ko
bigaḌ ga.e haiñ jo naqshe sañvār jā.ūñ maiñ
kabhī to apnī talab meñ bhī is tarah niklūñ
ḳhud apne-āp se begāna-vār jā.ūñ maiñ
lahū kā rañg ki ātish kā rañg kuchh to ho
jo naqsh dab se ga.e haiñ ubhār jā.ūñ maiñ
mohabbatoñ ko na lag jaa.e nafratoñ kī nazar
ḳhudā kare ki har ik dukh sahār jā.ūñ maiñ
phir apnā aks maiñ apnī hī zaat meñ dekhūñ
jo ho sake to har ik dukh ke paar jā.ūñ maiñ
kisī ke rañg meñ ḳhud ko maiñ rañg luuñ 'at.har'
javāb aa.e na aa.e pukār jā.ūñ maiñ