Ishaq Athar Siddiqui

aaKHir-e-shab bhi kisi KHwab ki ummid mein hun

Ishaq Athar Siddiqui

āḳhir-e-shab bhī kisī ḳhvāb kī ummīd meñ huuñ
ik na.ī sub.h na.e din na.e ḳhurshīd meñ huuñ
mujh se vo kaise kare harf-o-hikāyat āġhāz
maiñ abhī silsila-e-harf kī tamhīd meñ huuñ
mujh meñ bhī faqr kī halkī sī jhalak miltī hai
hai mujhe faḳhr ki ik sūrat-e-taqlīd meñ huuñ
maiñ ne dekhā hai use yā nahīñ dekhā us ko
maiñ abhī tak to usī kashmakash-e-dīd meñ huuñ
merī har saañs hai isbāt-o-nafī kī takrār
mujh ko kyā ilm ki kab hālat-e-tardīd meñ huuñ
sar-kashīda huuñ to kyā madd-e-muqābil huuñ to kyā
mere qātil maiñ tirī teġh kī tā.īd meñ huuñ
ḳhushk shāḳhoñ meñ abhī zauq-e-numū baaqī hai
maiñ na.ī rut se phir ik ahd kī tajdīd meñ huuñ
Top Urdushayar.com