Ishaq Athar Siddiqui

tere karam ka mere dasht pe jo saya hua

Ishaq Athar Siddiqui

tire karam kā mire dasht pe jo saayā huā
mujhe lagā hī nahīñ maiñ bhī huuñ satāyā huā
vo tajrabāt kī had se nikal gayā aage
vo ek shaḳhs ki thā merā āzmāyā huā
kisī ke dast-e-hinā.ī kā lams raushan thā
koī charāġh na thā haath meñ chhupāyā huā
hamārā naam nahīñ hai hamārā zikr nahīñ
magar yahāñ se koī lafz hai miTāyā huā
maiñ kaise us se alag ho ke dekh saktā huuñ
kisī kā rañg rag-o-pai meñ hai samāyā huā
vo āfiyat hai jahāñ jī rahe haiñ barsoñ se
isī galī meñ hai paudā mirā lagāyā huā
havā chalī to safar sahl ho gayā 'at.har'
safīna thā kisī tūfāñ se Dagmagāyā huā
Top Urdushayar.com