Ishaq Athar Siddiqui

giraft-e-saya-e-diwar se nikal aaya

Ishaq Athar Siddiqui

giraft-e-sāya-e-dīvār se nikal aayā
maiñ ek umr ke āzār se nikal aayā
na jānñā bhī to ik jānñe kī sūrat hai
ajiib ruḳh mire inkār se nikal aayā
maiñ apnī qīmat-e-ehsās ke javāz meñ thā
so ye huā ki maiñ bāzār se nikal aayā
abhī ruke bhī na the ham paḌāv kī ḳhātir
nayā safar na.ī raftār se nikal aayā
samajh rahe the kahīñ dafn ho gayā hogā
vo ḳhauf phir dar-o-dīvār se nikal aayā
maiñ chup huā to use bolnā hī thā ik din
vo zinda harf lab-e-dār se nikal aayā
kisī ḳhayāl se kyā kyā ḳhayāl jaag uThe
ye shaġhl lamha-e-bekār se nikal aayā
Top Urdushayar.com