saare mausam haiñ mehrbān se kuchh
roz utartā hai āsmān se kuchh
har ibārat savāl jaisī hai
lafz ġhā.eb haiñ darmiyān se kuchh
kis kī lau ne jalā diyā kis ko
raakh meñ haiñ abhī nishān se kuchh
kis se tafsīr-e-māh-o-sāl kareñ
din guzarte haiñ be-amān se kuchh
kyā ḳhabar ye kahāñ talak phaile
uTh rahā hai dhuāñ gumān se kuchh
kārvāñ kis kā manzileñ kis kī
kyā jhalaktā hai dāstān se kuchh
ek tasvīr raushnī le kar
saa.e nikle to haiñ makān se kuchh
is qadar e'tibār kar liije
rabt rakhtā huuñ ḳhāndān se kuchh
tum bhī us vaqt se Daro logo
jab nikal jaa.e is zabān se kuchh