tire intizār meñ kyā milā tire e'tibār ne kyā diyā
kabhī koī zaḳhm tapāñ huā kabhī koī daaġh khilā diyā
ye shab-e-safar bhī vabāl hai na firāq hai na visāl hai
isī shab ne niiñd harām kī isī shab ne ham ko sulā diyā
mire shahr-e-gul mirī arz-e-jāñ kahīñ koī un kā bhī hai nishāñ
tirī be-ḳhayāl havāoñ ne jinheñ rāste se haTā diyā
jise dast-e-zulm chhupā sake na havā-e-jaur bujhā sake
sar-e-rāh-e-manzil-e-zindagī vo charāġh ham ne jalā diyā
yahī ġham garāñ thā so rafta rafta tire surūr-e-ḳhayāl ne
safar-e-hayāt kī mushkilāt ko bhūlnā bhī sikhā diyā