sar-e-shāḳh-e-talab zanjīr niklī
ye kis ke ḳhvāb kī ta.abīr niklī
zamīñ par be-zamīnī kī kasak hai
ye mere naam kī jāgīr niklī
irādoñ se nikal aa.e irāde
mire andar ajab ta.amīr niklī
darīchoñ par darīche khul rahe haiñ
har ik tasvīr meñ tasvīr niklī
safar meñ phir safar ke ḳhvāb aa.eñ
yahī har ḳhvāb kī ta.abīr niklī
sar-afrāzī kā manzar dekhtā thā
barahna-sar har ik tauqīr niklī