bahte paanī meñ jo sūrat Thahre
mere hone kī zamānat Thahre
us ke jalve se milī haiñ nazreñ
ab kahāñ par mirī qismat Thahre
ḳhud ko ā.īna-sifat dekhtā huuñ
mujh meñ kuchh der to qudrat Thahre
tez-raftārī-e-duniyā kyā hai
maiñ bhī sochūñ jo ye hālat Thahre
koī to kār-e-jahāñ ham-nafaso
jo mire vaqt kī qīmat Thahre