ḳhvāboñ kī tilsmātī guphāoñ se nikal ke
dekho kabhī vīrāna-e-jāñ aañkh ko mal ke
har lamha hai ik ā.ina-e-umr-e-guzishta
peshānī-e-imroz pe bhī zaḳhm haiñ kal ke
tai ho na sakā marhala-e-dasht-e-tamannā
dīvār banī paañv kī zanjīr pighal ke
ik roz to ye dil kī taḌap lab pe bhī aa.e
ik roz to ye sāġhar-e-labrez bhī chhalke
dekhā jo kabhī dil ke darīche meñ simaT kar
sadiyāñ mileñ simTī huī āġhosh meñ pal ke
haijān se haiñ gūñjī huī dhyān kī galiyāñ
dil meñ utar aa.e haiñ nigāhoñ ke dhundalke
'ḳhāvar' abhī kuchh yaad kī sham.eñ haiñ farozāñ
raushan haiñ dar-o-bām abhī merī ġhazal ke