dil hī dil meñ ghuT ke rah jā.ūñ ye merī ḳhū nahīñ
aaj ai āshob-e-daurāñ maiñ nahīñ yā tū nahīñ
sañg kī sūrat paḌā huuñ vaqt kī dahlīz par
Thokaroñ meñ zindagī hai aañkh meñ aañsū nahīñ
shab ġhanīmat thī ki raushan the ummīdoñ ke ḳhutūt
din ke sahrā meñ koī taarā koī jugnū nahīñ
chaar jānib ye saje chehre haiñ yā kāġhaz ke phuul
rañg ke jalve to haiñ lekin kahīñ ḳhushbū nahīñ
terī rahmat kā nahīñ har chand maiñ munkir magar
sar pe jo chaḌh kar na bole vo koī jaadū nahīñ
maslahat hai jin kā maslak vo mire bhaa.ī kahāñ
jo na uTTheñ mere dushman par mire baazū nahīñ