Khawar Rizvi

yun tu har chhab wo nirali wo fusun-saz ki bas

Khawar Rizvi

yuuñ tū har chhab vo nirālī vo fusūñ-sāz ki bas
haa.e vo ek nigāh-e-ġhalat-andāz ki bas
dekhne vaalo zarā rañg kā parda to haTāo
sīna-e-gul pe hai zaḳhmoñ kā vo andāz ki bas
dil ke dāġhoñ ko chhupāyā to ubhar aa.e aur
rāzdārī hī ne yuuñ khol diye raaz ki bas
ham ne baḳhshī hai zamāne ko nazar aur hameñ
yuuñ zamāne ne kiyā hai nazar-andāz ki bas
ranj-o-ġham ishq-o-junūñ dard-o-ḳhalish soz-o-firāq
aise aise mile 'ḳhāvar' hameñ dam-sāz ki bas
Top Urdushayar.com