bā-hama yūrish-e-ālām-o-sitam zinda huuñ maiñ
mus.haf-e-vaqt kā ik bāb-e-daraḳhshanda huuñ maiñ
mere siine meñ dhaḌaktā hai dil-e-asr-e-ravāñ
is zamāne kā mufassir huuñ numā.inda huuñ maiñ
maiñ ki haq thā huā har daur meñ maslūb magar
kal bhī pā.inda thā maiñ aaj bhī pā.inda huuñ maiñ
tū tamannā.ī hai ik jannat-e-mau.ūda kā
apnī gum kī huī firdaus kā joinda huuñ maiñ
mere zaḳhmoñ se huvaidā hai hinā-bandī-e-gul
ik naved-e-chaman-ārā.ī-e-ā.inda huuñ maiñ
mad.h-ḳhvān-e-shab-e-tārīk mujhe kyā samjhe
sub.h-e-gul-rez ke naġhmoñ kā navīsanda huuñ maiñ
ye jahāñ kaise farāmosh karegā mujh ko
is ke aflāk kā ik 'ḳhāvar'-e-tābinda huuñ maiñ