jitnā barham vaqt thā utne hī ḳhud-sar ham bhī the
mauj-e-tūfāñ thā agar pal pal to patthar ham bhī the
kaash koī ik uchaTtī sī nazar hī Dāltā
chuur the zaḳhmoñ se lekin ek manzar ham bhī the
gar vabāl-e-dosh thā sar haath meñ tesha bhī thā
ik taraf se to nasībe ke sikandar ham bhī the
ḳhud-shanāsī kā bhalā ho raakh kī chuTkī haiñ aaj
varna ik raḳhshanda-o-tābinda gauhar ham bhī the
sat.h-bīiñ the log kyā paate hamārī vus.ateñ
jhāñktā dil meñ koī to ik samundar ham bhī the
chaḌhte sūraj kī parastish go thā duniyā kā usuul
ham kisī ko pūjte kaise ki 'ḳhāvar' ham bhī the