Khawar Rizvi

dil-e-KHud-ashna sohan-e-zindagi hoga

Khawar Rizvi

dil-e-ḳhud-āshnā sohān-e-zindagī hogā
ye sañg-e-mīl hai kal sañg-e-rāh bhī hogā
har ek moḌ pe pīchhe palaT ke dekhtā huuñ
vo gard-e-rah sahī hamrāh to koī hogā
hameñ hamārī vafā dasht dasht DhūñDegī
tumhāre husn kā charchā galī galī hogā
vo maiñ nahīñ mirī āshuftagī-e-dil hogī
vo tū nahīñ tirā andāz-e-dilbarī hogā
bahār-e-jalva-e-gul to nazar meñ thī kal bhī
tahī thā dast-e-talab aaj bhī tahī hogā
sunā hai vaqt kabhī ek sā nahīñ rahtā
qayām fasl-e-ḳhizāñ kā bhī aarzī hogā
tumhārī shab hai ziyā-bār māh-o-anjum se
hamārī sub.h kā manzar bhī dīdanī hogā
ye rañg-e-bazm ghaḌī do ghaḌī hai phir 'ḳhāvar'
kahīñ pe hogā koī aur kahīñ koī hogā
Top Urdushayar.com