Khawar Rizvi

hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai

Khawar Rizvi

hūr-o-qusūr se na bahisht-e-barīñ se hai
nāzāñ huuñ maiñ ki merā ta.alluq zamīñ se hai
vaqf-e-faroġh-e-rañg-nazar aur dil ba-zid
pairāhan-e-hayāt darīda kahīñ se hai
sajdoñ kī zau nahīñ hai to zaḳhmoñ ke phuul haiñ
baaqī koī to sañg kā rishta jabīñ se hai
kyā zikr-e-be-ruḳhī ki ye sheva hai husn kā
shikva mujhe tirī nigah-e-avvalīñ se hai
maiñ terā bāñkpan huuñ mujhe haath se na kho
añgushtarī kī zīnat-o-qīmat nagīñ se hai
dhuul uḌ rahī hai dīda-e-ḳhūñ-nāba-bār meñ
qaa.em ab ashk-e-ġham kā bharam āstīñ se hai
ham bhāgte phireñ ye muravvat se hai ba.iid
jab gardish jahāñ ko aqīdat hamīñ se hai
āshob-e-rozgār ne ye haal kar dayā
bāteñ kahīñ kī haiñ to havāla kahīñ se hai
'ḳhāvar' kisī bhī rishte ko hāsil nahīñ sabāt
juz rishta-e-vafā jo dam-e-vāpsīñ se hai
Top Urdushayar.com