Syed Shakeel Desnavi

tujhse TuTa rabt to phir aur kya rah jaega

Syed Shakeel Desnavi

Bihar, India

1941
tujh se TuuTā rabt to phir aur kyā rah jā.egā
intishār-e-zāt kā ik silsila rah jā.egā
qurbateñ miT jā.eñgī aur fāsla rah jā.egā
chand yādoñ ke sivā bas aur kyā rah jā.egā
ye taġhāful ek din ik sāneha ban jā.egā
aks to kho jā.egā aur aa.ina rah jā.egā
vaqt meñ lamha sā maiñ tahlīl hotā jā.ūñgā
ḳhālī āñkhoñ se ye manzar dekhtā rah jā.egā
ek shā.ir ik hasīñ se sher kī ḳhātir miTā
vaqt kī tahvīl meñ ye vāqi.a rah jā.egā
sard-mehrī ke kohar meñ us kā chehra kyā mile
in dhuñdlakoñ meñ use tū DhūñDhtā rah jā.egā
ek saaya narm-o-nāzuk chhoḌ kar jo chal diyā
sar pe sūraj ik musāfir rāsta rah jā.egā
Top Urdushayar.com