Syed Shakeel Desnavi

reza reza jaise koi TuT gaya hai mere andar

Syed Shakeel Desnavi

Bihar, India

1941
reza reza jaise koī TuuT gayā hai mere andar
kaun hai 'sayyad' karb jo itne jhel rahā hai mere andar
ujḌī ujḌī ḳhvāb kī bastī sahrā sahrā āñkheñ merī
jaane ye tūfān kahāñ se aaj uThā hai mere andar
ḳhāmoshī se jhel rahī hai garmī sardī har mausam kī
majbūrī kī chādar oḌhe ek anā hai mere andar
aaj na jaane kyuuñ lagtā hai dil kā mausam nikhrā nikhrā
fasl-e-junūñ kā mehmāñ ban kar kaun rukā hai mere andar
zulf ke saa.e ḳhvāb kī manzil raas use kyā aa.egī ab
sahrā sahrā ḳhaak jo kab se chhān rahā hai mere andar
aaj bhī jaane kyuuñ lagtā hai itnā hī anjān sā kuchh vo
jis ne saare dukh-sukh bāñTe saath rahā hai mere andar
kab se khaḌā maiñ soch rahā huuñ īmāñ ke dorāhe par ye
ek to vo jo sab kā ḳhudā hai ek ḳhudā hai mere andar
Top Urdushayar.com