baiThe raheñge thaam ke kab tak yuuñ ḳhālī paimāne log
had se baḌhe jab tishna-labī to phūñk na deñ maiḳhāne log
ham duniyā ko de kar ḳhushiyāñ ġham badle meñ lete haiñ
DhūñDe se bhī ab na mileñge ham jaise dīvāne log
kyā jāneñ yuuñ dil ke kitne zaḳhm hare ho jaate haiñ
chheḌ ke baat ik harjā.ī kī aate haiñ samjhāne log
ik shā.ir dīvāna sā kyuuñ nagrī nagrī phirtā hai
aa.e yā na samajh meñ aa.e gaḌhte haiñ afsāne log
dil par kitne zaḳhm lage haiñ tab jā kar ye jaanā hai
apnoñ se to achchhe haiñ har sūrat ye begāne log